WALI MOHAMMAD
Yaad karna har ghari us yaar
ka
Hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka.
Aarzoo-e-chasma-e-kausar nahin
Tishna-lab hun
sharbat-e-didaar ka.
Aakbat kya howega maalum nahin
Dil hua hai
mubtla dildaar ka.
Kya kahe tarif dil, hai be nazir,
Harf harf us
makhzan-e-israar ka.
Gar hua hai taalib-e-aazadgi,
Band mat ho
subba-o-zunnaar ka.
Masnad-e-gul manzil-e-shabanam hui,
Dekh rutba
dida-e-bedaar ka.
Ai Wali hona srijan par nisaar,
Mudda hai
chashm-e-gohar baar ka.
Yaad karna har ghari us yaar
ka
Hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka.
Aarzoo-e-chasma-e-kausar nahin
Tishna-lab hun
sharbat-e-didaar ka.
Aakbat kya howega maalum nahin
Dil hua hai
mubtla dildaar ka.
Kya kahe tarif dil, hai be nazir,
Harf harf us
makhzan-e-israar ka.
Gar hua hai taalib-e-aazadgi,
Band mat ho
subba-o-zunnaar ka.
Masnad-e-gul manzil-e-shabanam hui,
Dekh rutba
dida-e-bedaar ka.
Ai Wali hona srijan par nisaar,
Mudda hai
chashm-e-gohar baar ka.