WALI MOHAMMAD
Uskon haasil kyonke hoe jag mein
faraagh-e-zindagi,
Gardash-e-iflaak hai jis kon ayaag-e-zindagi.
Ai azizaan sair-e-gulshan hai
gul-e-daagh-e-alam,
Suhbat-e-ahabaab hai maani mein baagh-e-zindagi.
Lab hain tere filhaqiqat
chashma-e-aab-e-hayaat,
Khizr-e-khat ne us son paaya hai
suraagh-e-zindagi.
Jab son dekha nain nazarbhar
kaakul-e-mushkin-e-yaar,
Tab son jion sumble pareshaan hai
dimaagh-e-zindagi.
Aasmaan meri nazar mein kuba-e-taarik hai,
Gar na
dekhun tujkon ai chashm-o-chiraagh-e-zindagi.
Lala-e-khunin kaffin ke haal son zaahir hua,
Bastgi
hai khaal son khubaan ke daagh-e-zindagi.
Kyon na howe ai Wali roshan shab-e-qadar-e-hayaat,
Hai
nigah-e-garam-e-gul ruan chiraagh-e-zindagi.