Sajda: Dil Mein Ab Dard-E-Mohabbat Ke Siva

 

1. dil mein ab dard-e-mohabbat ke siva kuch bhi nahin
zindagi meri ibadat ke siva kuch bhi nahin

[There is nothing else in my heart but the pains of love
My life is nothing else but of worship]

2. mein teri baargah-e-naaz mein kya pesh karoon
meri jholi mein mohabbat ke siva kuch bhi nahin

[What should I present in your august presence
There is nothing else in my heart but love]

3. aye khuda mujh se na le mere gunahon ka hisab
mere paas ashq-e-nadamat ke siva kuch bhi nahin

[O God, don't start taking an account of my sins
I do not have anything else with me, but tears of guilt]

4. woh to mit kar mujhe mil hi gayee rahat warna
zindagi ranj-o-musibat ke siva kuch bhi nahin

[It is (so happens) that, I got relief only after I died (ceased to live), otherwise
Life is nothing else but one of sorrow and trouble]

Dictionary: ibadat - worship; baargah-e-naaz - august presence; ashq-e-nadamat - tears of guilt; rahat - relief; ranj-o-musibat - sorrow and trouble

 

 NEXT GHAZALS         1 2 3 4 5 6 7 8 9 10       PREVIOUS GHAZALS

              BACK TO GHAZLAS PAGE                              BACK TO GHAZLAS PAGE