Faraz

runjish hi sahi, dil hi dokhanay ke liye aa
aa phir se mujhe chor ke jaanay ke liye aa

kuch tau meray pindar-e mohabbat ka bharam rukh
tu bhi tau kabhi mujh ko mananay ke liye aa

pehle se marasim na sahi phir bhi kabhi tau
rusm-o rah-e dunya hi nibhanay ke liye aa

kis kis ko bataein gay joda'yee ka sabab hum
tu mujh se khafa hai tau zamanay ke liye aa

ik umr se hoon lazat-e giryaa se bhi mehroom
ai rahat-e jaan mujh ko rulanay ke liye aa

ab tuk dil-e khush feham ko tujh se hein umidein 
yeh aakhari shumein bhi bujhanay ke liye aa

 

NEXT GHAZAL       0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10          PREVIOUS GHAZAL

              BACK TO GHAZLAS PAGE                              BACK TO GHAZLAS PAGE