Faraz
hum bhi khud dushman-e jaaN thay pehle
tum
magar dost kahaN thay pehle
ab wahaN khaak ooratee hai khizaaN
phool hi
phool jahaaN thay pehle
ab jo deewar bunay baithay hain
soorat-e
mooj rawaaN thay pehle
kuch sharabee keh hein ab rah nasheeN
ronaq-e
buzm-e maghaaN thay pehle
hum keh hein aaj ghobaar puss-e ro
munzil
hum sufraaN thay pehle
ab kise waza-e mohabbat ka khayal
aur hi
loag yahaan thay pehle
ab to khudh per bhi nahin zaam-e wafa
tujh
se hum shikwa kinaaN thay pehle
bun gya kafla chaltay chaltay
wurna tunha
hi rawaan thay pehle
dolat-e ghum tau moyashar thi Faraz
itne
muflis bhi kahaan thay pehle