Faraz
khaatin hai rah-guzr, thori dooR sath chalo
bohut karra hai safr thori dooR sath chalo
tamaam umr kahaan koi sath dai-ta hai
yeh
jan ta hooN magar thori dooR sath chalo
Nashe mein choor hooN mai bhi tumhein bhi hosh
nahin
baRRa maza ho agar thori dooR sath chalo
yeh aik shub ki mulaqaat bhi ghaNimat hai
kise hai kal ki khabr thori dooR sath chalo
abhi to jaag rahae hein chiragh rahooN ke
abhi hai dooR sahr thori dooR sath chalo
tawaf-e-manzil-janah hamein bhi karna hai
Faraz tum bhi agar thori dooR sath chalo
(Tunha Tunha #45)
khaatin = difficult, hard
ghaNimat
=
blessing