Faraz
teri bataain hi sunanay aa'e
dost bhi dil
hi dokhanay aa'e
phool khilte hein tu hum sochtae hein
teray
aanay ke zamaanay aa'e
aisi kuch chup si lagi hai jaise
hum tujhe
haal sunanay aa'e
ishq tunha hai sir-e munzil-e ghum
kaun yeh
boojH uthanay aa'e
ajnabi dost humein dekh keh hum
kuch tujhe
yaad dilaanay aa'e
dil dharakta hai safr ke hungaam
kaash phir
koi bulanay aa'e
ab tu rounay se bhi dil dukhta hai
shaid ab
hosh thikanay aa'e
kya kahein phir koi busti ujri
laug kyooN
jashun mananay aa'e
so raho maut ke pahloo mein Faraz
nind kis
waqt na janay aa'e