ROMANTIC GHAZAL BY "GHALIB"
1. miltee hai KHoo-e-yaar se naar
iltihaab meiN
kaafir hooN gar na miltee ho raahat 'azaab
meiN
[ KHoo-e-yaar = lover's
nature/behavior/habit, naar = fire,
iltihaab = flame, 'azaab
= sorrow ]
2. kab se hooN, kya bataaooN
jahaan-e-KHaraab meiN ?
shab haaye hijr ko bhee rakhooN
gar hisaab meiN
[ jahaan-e-KHaraab = world of
problems, shab = night,
hijr = separation ]
3. taa fir na intezaar meiN neeNd aaye
'umr bhar
aane ka 'ahad kar
gaye aaye jo KHwaab meiN
[ taa = so that, 'ahad = promise ]
4. qaasid ke aate-aate KHat ik aur likh
rakhooN
maiN jaanta hooN jo woh
likhenge jawaab meiN
[ qaasid = messenger ]
5. mujh tak kab unkee bazm meiN aata tha
daur-e-jaam
saaqee ne kuchch mila na
diya ho sharaab meiN
[ bazm = meeting/"mehafil", saaqee =
bar tender ]
6. jo munkir-e-wafa ho
fareb us pe kya chale ?
kyooN badGHumaaN hooN dost se dushman
ke baab meiN ?
[ munkir-e-wafa = one who denies
loyalty, fareb = illusion/fraud
badGHumaaN = suspicious,
baab = company ]
7. maiN muztarib hooN wasl meiN KHauf-e-raqeeb se
Daala hai tumko weham ne kis
pech-o-taab meiN
[ muztarib = anxious/disturbed, wasl
= meeting with the lover,
KHauf = fear, raqeeb =
opponent, pech-o-taab = predicament ]
8. mai aur haz'z-e-wasl, KHudaa_saaz baat hai
jaaN nazr denee bhool
gaya iztiraab meiN
[ mai = bar, haz'z-e-wasl = joy of
meeting, KHudaa_saaz = god's gift,
iztiraab = anxiety ]
9. hai tevaree chaDee huee andar
naqaab ke
hai ik shikan paDee huee
tarf-e-naqaab meiN
[ shikan = wrinkle, tarf = eyelid ]
10. laakhauN lagaav, ik churaana nigaah ka
laakhauN banaav, ik bigaaDna itaab
meiN
[ itaab = anger ]
11. woh naala_dil meiN KHas ke baraabar jagah na paaye
jis naale
se shigaaf paDe aaftaab meiN
[ naala_dil = crying heart, KHas =
hay/grass, shigaaf = crack,
aaftaab = sun/face ]
12. woh sehar muddaa talbee meiN na kaam aaye
jis sehar se safina ravaaN ho saraab
meiN
[ sehar = magic, muddaa talbee =
fulfillment of a desire,
safina = boat, ravaaN =
move, saraab = mirage ]
13. 'GHalib' chutee sharaab, par ab bhee kabhee-kabhee
peeta hooN
roz-e-abr -o- shab-e-maahtaab meiN
[ abr = clouds, roz-e-abr = cloudy
day, maahtaab = moon ]