ROMANTIC GHAZAL BY "GHALIB"
1. hairaaN hooN dil ko ro'ooN ki peetooN jigar ko maiN ?
maqdoor hooN to saath rakhooN nauhaagar ko maiN
[ maqdoor = capable, nauhaagar = mourner/lamenter ]
2. choDa na rashk ne ki tere ghar ka naam looN ?
har ek se poochta hooN ki jaaooN kidhar ko maiN ?
[ rashk = jealousy ]
3. jaana paDa raqeeb ke dar par hazaar baar
'ei kaash jaanta na teree rahguzar ko maiN
[ raqeeb = opponent, rahguzar = road/path ]
4. hai kya jo kas ke baaNdhiye meree bala dar'e
kya jaanta naheeN hooN tumhaaree kamar ko maiN ?
5. lo woh bhee kahate haiN ki yeh be_nang-o-naam hai
yeh jaanta agar to luTaata na ghar ko maiN
6. chalta hooN thoDee door har ik tez rau ke saath
pehchaanta naheeN hooN abhee raahabar ko maiN
[ rau = currents, raahabar = guide ]
7. KHwaahish ko 'ahamqoN ne parastish diya qaraar
kya poojta hooN us but-e-bedaadgar ko maiN ?
[ 'ahmaq = fool/idiot, parastish = worship, but = idol/lover,
bedaadgar = cruel ]
8. fir be_KHudee meiN bhool gaya raah-e-koo-e-yaar
jaata wagarna ek din apnee KHabar ko maiN
[ be_KHudee = rapture, koo-e-yaar = lover's street ]
9. apne pe kar raha hooN qiyaas 'ahl-e-dahar ka
samjha hooN dil_pazeer mata'a-e-hunar ko maiN
[ qiyaas = supposition, 'ahl = people, dahar = period/era,
pazeer = receiving, mata'a = wealth, hunar = skill ]
10. 'GHalib' KHuda kare ki sawaar-e-samand-e-naaz
dekhooN 'alee_bahaadur-e-aalee_guhar ko maiN
[ sawaar = ride, samand = horse, aalee_guhar = belonging to a
high caste or a rich family ]