ROMANTIC GHAZAL BY "GHALIB"

 

1.      dhota hooN  jab maiN peene ko us seem_tan  ke paaNv
        rakhata hai zid se kheeNch ke baahar lagan ke paaNv

        [ seem_tan = silver bodied, lagan = a basin ]

2.      dee saadgee se jaan paDooN  kohakan ke paaNv
        haihaat ! kyoN na TooT gaye peerzan ke paaNv

        [ kohakan = a mountain digger, haihaat = alas !, peerzan = old woman ]

3.      bhaage the; ham bahut see uskee saza hai ye
        hokar aseer daabte  haiN  raahzan ke  paaNv

        [ aseer = prisoner, raahzan = robber ]

4.      marham ki justjoo meiN ghira hooN jo door-door
        tan se siwa figaar hai is KHastaa_tan ke paaNv

        [ justjoo = desire, figaar = wounded ]

5.      allaah re  zauq-e-dasht-e-nawrdee  ki baad-e-marg
        hilte haiN Khud-ba-KHud mere andar qafan ke paaNv

        [ zauq = taste, dasht-e-nawrdee = to roam around in wilderness,
          marg = death ]

6.      hai josh-e-gul bahaar meiN yaaN tak ki har taraf
        uDate  hue ulajhte haiN  murGH-e-chaman ke paaNv

        [ murGH = bird ]

7.      shab ko kisee ke KHwaab meiN  aaya na ho kaheeN
        dukhte haiN aaj oos but-e-naazuk_badan ke paaNv

        [ but = idol/beloved ]

8.      'GHalib'  mere  kalaam  meiN  kyoNkar  maza  na  ho ?
        peeta hooN dhoke KHusrau-e-sheereeN_suKHan ke paaNv

        [ kalaam = writing/speech, sheereeN = sweet, suKHan = speech/words,
          KHusrau-e-sheereeN_suKHan = this is pointed at Badshah Zafar ]


0   1   2   3   4   5   6   7   8   9   10   11   12   13   14    15   16   17   18   19   20

              BACK TO GHAZLAS PAGE                              BACK TO GHAZLAS PAGE