ROMANTIC GHAZAL BY "GHALIB"
uski hasrat hai jise dil se miTaa bhi na sakooN
DhooNDhne usko chalaa hoon jise paa bhi na sakooN
[ hasrat = desire ]
Daal kar KHaak mere KHoon pe qaatil ne kahaa
kuch yeh mehndi nahiN meri ke miTaa bhi na sakooN
zabt kam_baKHt ne aur aa ke galaa ghoNTaa hai
ke use haal sunaaooN to sunaa bhi na sakooN
[zabt = forbearance/"sahan-shakti]
uske pahloo meiN jo lejaa ke sulaa dooN dil ko
neeNd aisee use aaye ke jagaa bhi na sakooN
[ pahloo = lap ]