ROMANTIC GHAZAL BY "GHALIB"
1. 'arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil naheeN raha
jis dil pe naaz tha mujhe wo dil naheeN raha
[ niyaaz = desire/an offering ]
2. jaata hooN daaGH-e-hasarat-e-hastee liye hue
hooN shamma'a_kushta darKHur-e-mehfil naheeN raha
[ hastee = life/existence, shamma'a_kushta = extinguished lamp,
darKHur = worthy ]
3. marne ki 'ei dil aur hee tadabeer kar ki maiN
shaayaan-e-dast-o-baazu-e-qaatil naheeN rahaa
[ tadabeer = solution/remedy, shaayaan = worthy, dast = hand,
baazoo = shoulder ]
4. bararoo-e-shash jihat dar-e-aaina_baaz hai
yaaN imtiaz-e-naakis-o-qaamil naheeN rahaa
[ bararoo = in front, shash = six, jihat = direction,
imtiaz = distinction, naakis = cunning, qaamil = intelligent ]
5. waa kar diye haiN shauq ne band-e-naqaab-e-husn
GHair_az nigaah ab koee haayal naheeN raha
[ waa = open, GHair_az = other than, haayal = obstacle ]
6. go maiN raha, rahee na sitam haaye rozgaar
lekin tere KHayaal se GHaafil naheeN raha
[ sitam = oppression, GHaafil = unaware/careless ]
7. dil se hawa-e-kisht-e-wafa miT gayee ki waaN
haasil siwaay hasrat-e-haasil naheeN raha
8. bedaad-e-ishq se naheeN Darta magar 'Asad'
jis dil pe naaz tha mujhe wo dil naheeN raha
[ bedaad = injustice ]