ROMANTIC GHAZAL BY "GHALIB"

 

1.      ghar jab bana liya hai tere dar par kahe baGHair
        jaanega  ab bhee too na  mera ghar  kahe baGHair

2.      kehte  haiN, jab  rahee na mujhe  taaqat-e-suKHan
        jaanooN kisee ke dil ki maiN kyoNkar kahe baGHair

        [ taaqat-e-suKHan = strength to speak ]

3.      kaam us'se aa paDa hai ki jiska jahaan meiN
        lewe na koee naam 'sitamgar'  kahe  baGHair

        [ sitamgar = oppressor ]

4.      jee meiN hee kuchch naheeN hai hamaare, wagarna ham
        sar jaaye  ya rahe,  na  rahaiN  par  kahe  baGHair

5.      choDooNga maiN na us  but-e-kaafir ka poojna
        choDe na  KHalq go mujhe kaafir kahe baGHair

        [ but = idol/lover, KHalq = world ]

6.      maqsad hai naaz-o-GHamza, wale guftagoo meiN kaam
        chalta  naheeN hai, dashna-o-KHanjar kahe baGHair

        [ GHamza = amorous glance, dashna = dagger ]

7.      har  chand  ho  mushaahit-e-haq   ki  guftagoo
        bantee naheeN hai baada-o-saaGHar kahe baGHair

        [ mushaahit = God, baada = wine ]

8.      behra hooN maiN to chaahiye doona ho iltafaat
        sunta naheeN hooN  baat muqarrar kahe baGHair

        [ iltafaat = mercy, muqarrar = again ]

9.      'GHalib' na kar huzoor meiN too baar-baar 'arz
        zaahir hai tera haal  sab un par kahe  baGHair


0   1   2   3   4   5   6   7   8   9   10   11   12   13   14    15   16   17   18   19   20

              BACK TO GHAZLAS PAGE                              BACK TO GHAZLAS PAGE